pankhida ho pankhida, pankhida ho pankhida, pankhida
pankhida tu motiyo ki la bahar re
pankhida tu motiyo ki la bahar re
mere mit ka mai karunga singar re
ho mere mit ka mai karunga singar re
pankhida tu sajna ki najar utar re
pankhida tu sajna ki najar utar re
jinke dil me mere liye itna pyar re
jinke dil me mere liye itna pyar re
pankhida ho pankhida, pankhida ho pankhida
ho jake kaali ghata ko chura ke le aa
unki pyari se ankho me kajal laga
unki julfo me chandan ki khushbu basa
unke najuk se hatho me mehandi racha
kangana lao jhumka lao bindiya lao re
kangana lao jhumka lao bindiya lao re
mere meet ka main karunga singar re
ho mere meet ka main karunga singar re
pankhida ho pankhida, pankhida
pankhida ho pankhida, pankhida
dur ab se koi sitara tu la
unke mathe pe kismat ka tara saja
unko har gam ki dhup se jake bacha
unki lambi umar ho kar ye dua
kangana nahi jhumka nahi sajna lao re
kangana nahi jhumka nahi sajna lao re
jinke dil me mere liye itna pyar re
jinke dil me mere liye itna pyar re
pankhida ho pankhida, pankhida ho pankhida
meri ankho me tere hi surat rahe
mere sajan sada tu salamat rahe
dhadkane meri har pal dua ye kare
jindagi teri khusiyo ki jannat rahe
meri prit meri wafa tere sath re
meri prit meri wafa tere sath re
kitna khubsurat ye aetbar re
kitna khubsurat ye aetbar re
pankhida tu motiyo ki la bahar re
pankhida tu sajna ki najar tu utar re
mere meet ka main karunga singar re
jinke dil me mere liye itna pyar re
pankhida ho pankhida, pankhida ho pankhida
pankhida ho pankhida, pankhida ho pankhida
pankhida ho pankhida, pankhida ho pankhida
pankhida ho pankhida, pankhida ho pankhida