Haseen lamhen, shareer Lamhen
sharmilen lamhen, Jhijkate lamhen
pighalate Lamhen, dhadkate lamhen
mohobbat me gujaren, ye tamam lamhen
dil ki pagadndiyon par, apne pairon ke nishan
chhod gaye hain
mausam badalaten hain, hawaein chalati hain
lekin ye nishaan na mitate hain
na halake hote hain
zara zara si baate, teri mujhako yaad aati hain
mere dil ko tadapati Hain, raaton me
zara zara si baate, beete lamhen le aati hain
tasawiren si ban jaati hain, aankhon mein
zara zara si baatein
koi banake bahana, mere ghar ko tera aana
har shaam milane ke liye
o halken gulaabi the wo, jo phul tune mujhako
ek roz lake the diye
aur ab phulon ki khushabuye
jo kahin aati hain
mujhako tanha kar, jaati hain rahon me
zara zara si baate, teri mujhako yaad aati hain
mere dil ko tadapati Hain, raaton me
zara zara si baate
dariya kinaren the ham
saanse thee maddham maddham
chhitaki huyi thi chandani
aa saahil pe aati leharen, thi jaise gaati laharein
anjaani koi raagini
aur ab saahil pe, gaati leharen jo aati hain
tufaan jaise wo laati hain, yaadon me
zara zara si baate, teri mujhako yaad aati hain
mere dil ko tadapati Hain, raaton me
zara zara si baate, beete lamhen le aati hain
tasawiren si ban jaati hain, aankhon mein
zara zara si baaten
zara zara si baaten
one thing that shall always remain with us and nobody can steal them!! are
our memories!!