zihal-e-miskin makun-ba-ranjish
bahal-e-hizra bechara dil hai
zihal-e-miskin makun-ba-ranjish
bahal-e-hizra bechara dil hai
sunai deti hai jiski dhadkan
tumhara dil ya hamara dil hai
sunai deti hai jiski dhadkan
tumhara dil ya hamara dil hai
wo aake pehlu mein aise baithe
wo aake pehlu mein aise baithe
ke shaam rangeen ho gayi hai
ke shaam rangeen ho gayi hai
ke shaam rangeen ho gayi hai
zara zara si khili tabiyat
zara si ghamgeen ho gayi hai
zara zara si khili tabiyat
zara si ghamgeen ho gayi hai
zihal-e-miskin makun-ba-ranjish
bahal-e-hizra bechara dil hai
sunai deti hai jiski dhadkan
tumhara dil ya hamara dil hai
kabhi kabhi shaam aise dhalti hai
ke jaise ghoonghat utar raha hai
utar raha hai
kabhi kabhi shaam aise dhalti hai
ke jaise ghoonghat utar raha hai
tumhare seene se uthta dhuaan
hamare dil se guzar raha hai
tumhare seene se uthta dhuaan
hamare dil se guzar raha hai
zihal-e-miskin makun-ba-ranjish
bahal-e-hizra bechara dil hai
sunai deti hai jiski dhadkan
tumhara dil ya hamara dil hai
ye sharm hai yaa haya hai kya hai
nazar uthate hi jhuk gayi hai
nazar uthate hi jhuk gayi hai
tumhari palko se girke shabnam
hamari aankho mein rook gayi hai
tumhari palko se girke shabnam
hamari aankho mein rook gayi hai
zihal-e-miskin makun-ba-ranjish
bahal-e-hizra bechara dil hai
sunai deti hai jiski dhadkan
tumhara dil ya hamara dil hai
sunai deti hai jiski dhadkan
tumhara dil ya hamara dil hai