zindagi tune lahu leke diya kuch bhi nahi

tere daman me mere waste kya kuch bhi nahi

mere in hatho ki chaho to talashi le lo
mere in hatho ki chaho to talashi le lo
mere hatho me lakiro ke siwa kuch bhi nahi
zindagi tune lahu leke diya kuch bhi nahi
humne dekha hai kai aise khudao ko yaha
humne dekha hai kai aise khudao ko yaha
samne jinke wo sachmuch ka khuda kuch bhi nahi
zindagi tune lahu leke diya kuch bhi nahi
ya khuda ab ke ye kis rang me aai hai bahar

zard hi zard hai pedo pe hara kuch bhi nahi
zindagi tune lahu leke diya kuch bhi nahi
dil bhi ek zid pe ada hai kisi bache ki tarah

ya to sab kuch hi ise chahiye ya kuch bhi nahi
zindagi tune lahu leke diya kuch bhi nahi
tere daman me mere waste kya kuch bhi nahi
zindagi tune lahu leke diya kuch bhi nahi
this so goodddddddddd my all time favourite i love this ghazal like
anything...this so mesmierizing and soulfool. this is one of the best
creation