jindgi se darte ho jindgi se darte ho
jindgi se darte ho jindgi to tum hi ho
jindgi to tum hi hojindgi to ham bhi hai
aadmi se darte ho aadmi se darte ho
aadmi to tum bhi ho aadmi to tum bhi ho
aadmi to ham bhi hai aadmi to ham bhi hai
tum abhi se darte ho
aadmi jubaan bhi aadmi byaan bhi hai
harf aur maane ke rishte hai aahat se
aadmi hai wabsta
aadmi ke daaman se jindgi hai wabsta
us se tum nahi darte ho
us se tum nahi darte ho
ankahi se darte ho jo abhi nahi aayi
us gharri aamad ki aaghi se darte ho
tum abhi se darte ho pahle bhi to gujare hai
daur na rasse ke be-riya khudaai ke
phir bhi ye samjhte ho hech aarjumandi
ye sab jubaan bandi hai rah khudavndi
tum yahi samjhte ho
tum magr ye kya jaano lab agar nahi hilte
hath jaag uthate hai shubh ki ajaan ban kar
roshni se darte ho roshni tum bhi ho
roshni to ham bhi hai tum abhi se darte ho
raah-e-shauk mein jaise lahro ka khun lapke
ek naya junoon lapke aadmi chhalak uthe
aadmi hanse dekho tum abhi se darte ho
What about that verses ?? Sheher ki faseelon per dev ka jo saya tha .. Pak
ho gaya akhir., chaak ho gaya akhir .. ??? I havent heard in this video??