Lyrics of Dasht E Tanhaai Men Ai Jaan E Jahaan Larazaan Hai - दश्त ए तनहाई में ए जान ए जहां लरज़ां है
dasht e tanhaai me e jaan e jaha larzaan hai

teri aawaz ke saaye tere hotho ke saraab
dasht e tanhai me duri ke khas o khaak tale
khil rahe hain tere pahlu ke saman aur gulaab

dasht e tanhai me
uth rahi hai kahi qurbat se teri saans ki aanch

apni khushbu me sulagti hui
maddham, maddham dur ufaq paar chamakti hui
qatra qatra gir rahi hai teri dildaar nazar ki shabnam

is qadar pyaar se e jaan e jaha rakha hai

dil ke rukhsaar pe is waqt teri yaad ne haath
yun gumaan hota hai garje hain abhi subh e firaaq
dhal gaya hizr ka din aa bhi gayi basl ki raat

dasht-e-tanhaai mein, ai jaan-e-jahaan, larzaan hain
In the desert of my solitude, oh love of my life, quiver
teri avaaz ke saaye,
the shadows of your voice,
tere honthon ke saraab
the mirage of your lips
dasht-e-tanhaai mein,
In the desert of my solitude,
duri ke khas-o-khaak tale
beneath the dust and ashes of distance
khil rahe hain tere pehlu ke saman aur gulaab
bloom the jasmines and roses of your proximity
uht rahi hai kahin qurbat se
From somewhere very close,
teri saans ki aanch
rises the warmth of your breath
apani khushbuu mein sulagti hui
smouldering in its own aroma,
maddham maddham
slowly, bit by bit.
dur ufaq par chamakati hui
far away, across the horizon, glistens
qatra qatra
drop by drop
gir rahi hai teri dil daar nazar ki shabnam
the falling dew of your beguiling glance
is qadar pyaar se hai jaan-e jahaan rakkhaa hai
With such tenderness, O love of my life,
dil ke rukhsaar pe
on the cheek of my heart,
is vaqt teri yaad ne haath
has your memory placed its hand right now
yun guman hota hai
that it looks as if
garche hai abhi subah-e-firaaq
(though it's still the dawn of adieu)
dhal gaya hijr ka din
the sun of separation has set
aa bhi gaye vasl ki raat
and the night of union has arrived.